Bhool Ja Ae Dil Mohabbat Ka Fasana Lyrics

Writer :

Singer :




Bhool ja ae dil mohabbat ka fasana
Kisi se dil lagana
Bhool ja ae dil mohabbat ka fasana
Wo sapna tha suhana

Yaad aati hain tujhe
Ab kyun wo raatein pyaar ki
Aur wo baatein pyaar ki
Yaad aati hain tujhe
Ab kyun wo raatein pyaar ki
Aur wo baatein pyaar ki
Bhool jaa ulfat ke meethe geet gana
Wo sapnaa thhaa suhaanaa
Bhool jaa ae dil muhabbat ka fasana
Kisi se dil lagana

Teraa gulshan lut gaya
Teraa gulshan lut gaya
Teraa nasheman jal gaya
Haay jal gaya
Din khushi kaa dhal gaya
Ab wo gulshan hai
Naa ab wo aashiyaana
Wo sapna tha suhana
Bhool jaa ae dil muhabbat ka fasana
Kisi se dil lagana

Ab to saari zindagi
Aansoo bahana hai tujhe
Dil jalaanaa hai tujhe
Ab to saari zindagi
Aansoo bahana hai tujhe
Dil jalana hai tujhe
Ab kahaan qismat mein teri muskurana
Wo sapana tha suhana
Bhool jaa ae dil muhabbat ka fasana
Kisi se dil lagana.

Music Director Wise   Film Wise


How to use

In Junolyrics, This box contains the lyrics of Songs .If you like the lyrics, Please leave your comments and share here . Easily you can get the lyrics of the same movie. click here to find out more Lyrics.